Sarakta jai he rukh se naqab ahista ahista
nikalta AA raha hai aftab ahista ahista
Jawan hone lage jab wo to hum se kar liya pardah
haya yak-lakht aai aur shabab ahista ahista
Shab-e-furqat ka jaaga hun farishto ab to sone do
kabhi fursat mein ker Lena hisab ahista ahista
Wo bedardi se sar kaatein Ameer aur mein kahun un se
huzoor ahista ahista janaab ahista ahistaSaval-e-vasl par unko
uduv Ka khauf hai itna
Dabe hontoon se dete hain javab aahistaa aahistaa