answersLogoWhite

0

Sawaal Galath hai.

Yeh sawaal sms se fel gaya,

aur saath hee saath Bigad gaya....

Sahi sawaal:

Wo kya cheez hai Jo :

Din se roshan ho saktha hai,

aur raath se kaala,

Bulao tho haraam hai,

aur piyo tho halaal,

Mardh ko din me paanch marthba yaad karta hai,

par aurat ko zindagi me ek baar,

Quran me iska paanch marthba zikr kiya gaya hai,

aur ye paanch alfaaz ka lavz meem se shuru hota hai .........

Aur iska javaab hai:

Mukbrah ( kabr )

^ Din se roshan ho saktha hai:

> Agar amal achche hon tho kabr din se roshan hoti hai

^ aur raath se kaala:

> Agar amal boore hon tho kabr sabse kaali raath hai

^ Bulao tho haraam hai:

> Suicide karne se kabr haraam ban jaatha hai ( i.e., kabr ko bulaana )

^ aur piyo tho halaal:

> Jaam-e-Shahaadat noosh karna

^ Mardh ko din me paanch marthba yaad karta hai:

> Mardh ka kabr use din me paanch baar yaad karta hai

^ par aurat ko zindagi me ek baar:

> Aurathon kon kabristhan jaana mana hain, aur mauth ke baad hi jaana padtha hai

^ Quran me iska paanch marthba zikr kiya gaya hai:

> Quran me 'Mukbrah' lavz ka paanch marthba zikr kiya gaya hai

^ aur ye paanch alfaaz ka lavz meem se shuru hota hai:

> 'Mukbrah' ke alfaaz hain:

-> meem, khauf, bah, raah aur ahlif.

Is lafz ka pehla alfaaz hai meem .......

User Avatar

Wiki User

13y ago

What else can I help you with?