answersLogoWhite

0

Yug ke aadi mai bhagwaan aadhinath ( Teerthankar Rishabdev ) ne apna pehla updesh "Prakrit" bhasha mai diya. Bhav vinimay mai ki yahi Prakrit bhasha parampara se bharat mai chalti rahi. Yahi bhasha Ram, Krishna, Goutam aur Mahaveer aadi mahapuruso ki rahi. Phir isha ki satvi satabdi se lekar terahvi sathabdi tak Prakrit bhasha se "Apbhrans" bhasha ka uday hua. Isi Apbhrans ki khokh se hi Sindhi, Gujrati, Marathi, Udaiya, Panjabi, Rajisthani, Bhihari, Bangala, Asami, Poorvi Hindi aur Paschimi Hindi aadi adhunik bhasha ka janam hua.

User Avatar

Wiki User

11y ago

What else can I help you with?