answersLogoWhite

0

A Hindi poem:

Kal kal karti nadi ki dhara.

bahi jaa rahi badhi jaa rahi.

Pragati path par chadhi ja rahi.

sabko jal ye diye jaa rahi.

Path na koi rok sake.

aur na koi tok sake.

Chattaanon se takraati hai,

toofano se bhid jaati hai.

rookna ise kab bhaata hai.

thakna ise nahi aata hai.

Soddeshya swa-path par pal pal bas aage badhati jaati hai.

kal-kal karti jal ki dhara.

jauhar apana dikhlaati hai. -

See more at: http://www.poemocean.com/poem/river-poems/nadi-ki-dhara-540.html#sthash.RZyqJLQB.dpuf

User Avatar

Wiki User

10y ago

What else can I help you with?